ab meri nigahon mein jachta nahi koi
jaisay mere sarkar hain aisa nahi koi
jaisay mere sarkar hain aisa nahi koi
tum sa to haseen aankhh nay dekha nahi koi
yeh shaan Latafat hai ke saya nahi koi
ae zarf nazar dekh magar dekh adab se
sarkar ka jalva hai tamasha nahi koi
kehti hai yahi tor se ab taq shab-e-mairaaj
deedar ki taaqat ho to parda nahi koi
hota hai jahan zikar Mohammad ke karam ka
is bazm mein mahroom tamanna nahi koi
aizaz yeh haasil hai to haasil hai zamee ko
aflaaq pay to gunbad khazra nahi koi
sarkar ki rehmat nay magar khoob nawaza
yeh sach hai ke Khalid sa nikamma nahi koi
ab meri nigahon mein jachta nahi koi
jaisay mere sarkar hain aisa nahi koi
yeh sach hai ke Khalid sa nikamma nahi koi
ab meri nigahon mein jachta nahi koi
jaisay mere sarkar hain aisa nahi koi
Please comments box mein kisi bhi qisam ke spem links enter na Karen.