roman urdu naat lyrics | haal-e-dil kis ko sunayen
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
Keyun Kisi Ky Dar Pe Jaen Aap ke hote hue
main ghulam-e-mustafa hoon Yeh Meri Pehchan Hai
gham mujhey keyun kar satayen Aap ke hote hue
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
Yeh To Ho Sakta Nahi ke Baat Mumkin Hi Nahi
Mere Ghar Aalam Aain Aap Ke hote hue
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
Keh Raha Hai Aap Ka Rab Anta Fee’him Aap se
Keyun inhain Dun Main Sazain Aap Ke hote hue
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
Apna Jeena Apna Marna ab Ise Chokhat Pey Hai
ham Kahan Sarkar Jaen Aap Ke hote hue
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
Samne Hai Ae Ali Ke Laal Uswah Aap Ka
Keyun Kisi Ka Khof Khain Aap ke hote hue
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
Main Yeh Kaisy Maan Jaun Sham Ke Darbar Main
Chheen Lay Koi Ridain Aap ke hote hue
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
kon hai Altaf apna haal-e-dil jis se kahin
zakham e dil kis ko dikhayen aap ke hote hue
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
Keyun Kisi Ky Dar Pe Jaen Aap ke hote hue
haal-e-dil kis ko sunayen aap ke hote hue
Please comments box mein kisi bhi qisam ke spem links enter na Karen.