Mila Hamen Dar E Khair Ul Wara Se Naat Lyrics Poetry
Yeh Nah Pucho Mila Hamein Dar E Khair-Ul-Wara Se Kya
Nazar Un Ki Parri To Hum Huye Pal Bhar Mein Kya Se Kya
Jise Aadab E Gulshan E Nabwi Ki Khabar Nahi
Woh Bhala Le Ke Jaye Ga Chaman E Mustafa Se Kya
Jise Is Ka Yaqeen Hai Ke Wohi Bakhshwaen Ge
Koi Khatrah, Koi Jhijak Ussey Roz-E-Jaza Se Kya
Mere Dil Ki Woh Dharkanain Dam E Faryaad Sunte Hain
Mutwajjah Jo Hain, Woh Hain, Mujhe Baad E Saba Se Kya
Nazar Un Ki Jo Ho Gayi, Assar Aaya Dua Mein Bhi
Mere Dil Ki Tarap Hi Kya, Mere Dil Ki Sada Se Kya
Rah E Tayyiba Mein Be Khudi Ke Manazir Hain Deedni
Kabhi Naqshe Hain Kuch Se Kuch, Kabhi Jalwe Hain Kya Se Kya
Assar Andaaz Is Pe Bhi Mere Aaqa Ka Rang Hai
Kahin Ankhen Milaye Ga Koi Un Ke Gadda Se Kya
Ajal Aati Hai Rubaroo, To Dabe Paon, Ba Wazu
Jo Muhammad Pe Mar Mita, Ussey Darna Qaza Se Kya
Jise Khairaat Be-Talab Mile Bab-E-Rasool Se
Ussey Darain Mein Naseer Gharz Masiwa Se Kya?
Yeh Nah Pucho Mila Hamein Dar E Khair-Ul-Wara Se Kya
Nazar Un Ki Parri To Hum Huye Pal Bhar Mein Kya Se Kya
Please comments box mein kisi bhi qisam ke spem links enter na Karen.